Thursday, January 26, 2006

Happy Republic Day

26th January 2006. Bharat ganrajya ka satawanwa gantantra diwas. 57th Republic Day of India.

A
list of songs that I have cued on Music India Online

Aao Bachchon Tumhe Dikhaayen - Jagriti
Ab Ke Baras - Kranti
Ab Tumhare Hawale Watan - Haqeeqat
Ae Watan - Shaheed
Apni Azadi Ko Hum - Leader
Aye Mere Pyare Watan - Kabuliwala
Aye Watan Tere Liye - Karma
Bharat Ka Rahnewala Hoon - Purab Aur Pachhim
Dekho Veer Jawano - Aakraman
Chodo Kal ki Baatein - Hum Hindustani
Jahan Daal Daal Pe - Sikander-E-Azam
Kadam Kadam Badhaye Ja
Mera Rang De Basanti
Mere Desh Ki Dharti - Upkar
Nanna Munna Rahi Hoon
Sare Jahan Se Accha Hindustan Sadhana Sargam
Sarfarosh Ki Tamana - Shaheed
Taqat Watan Ki Hum Se - Prem Pujari
Watan Pe Jo Fida Hoga - Phool Bane Angaare
Yeh Desh Hai Veer Jawanon Ka - Naya Daur

And my fav patriotic song is "Chodo Kal ki Baatein"... the song is progressive.. it talks about future... it doesnt linger on the past laurels earned or the great tradition of the yester decades/centuries...It asks us to leave aside the thoughts about the greatness of country, its culture... coz thats old...Think ahead.. think of the future and shape it.

Chhodo kal ki baatein, kal ki baat puraani
Naye daur mein likhenge milkar nayi kahaani
Hum Hindustani, hum Hindustani
Hum Hindustani, hum Hindustani

Aaj puraani zanjeeron ko tod chuke hain
Kya dekhe us manzil ko jo chhod chuke hain
Chaand ke dar pe jaa pahuncha hai aaj zamaana
Naye jagat se hum bhi naata jod chuke hain
Naya khoon hai, nayi umangein, ab hai nayi jawaani
Hum Hindustani

Humko kitne Taj Mahal hain aur banane
Kitne hi Ajanta humko aur sajane
Abhi palatna hain rukh kitne dariyaon ka
Kitne parbat raho se hain aaj hatane
Hum Hindustani

Aao mehnat ko apna imaan banaaye
Apne haathon ko apna bhagwaan banaaye
Ram ki is dharti ko Gautam ki bhoomi ko
Sapnon se bhi pyaara Hindustan banaaye
Naya khoon hai, nayi umangein, ab hai nayi jawaani
Hum Hindustani

Har zarra hai moti, aankh uthaakar dekho
Maati mein sona hai, haath badhaakar dekho
Sone ki yeh ganga hai, chaandi ki yamuna
Chaaho to patthar pe dhaan ugaakar dekho
Naya khoon hai, nayi umangein, ab hai nayi jawaani
Hum Hindustani

Daag ghulami ka dhoya hain jaan lutake
Deep jalaye hain yeh kitne deep bujhake
Li hain aazadi to phir is aazadi ko
Rakhna hoga har dushman se aaj bachake
Naya khoon hai, nayi umangein, ab hai nayi jawaani
Hum Hindustani

Chhodo kal ki baatein, kal ki baat puraani
Naye daur mein likhenge milkar nayi kahaani
Hum Hindustani, hum Hindustani
Hum Hindustani, hum Hindustani

(I wont even attempt a translation)

4 comments:

R said...

mere desh ki dharti is my fave!!

Sachin Keswani said...

yeh jo des hai tera ,swades hai tera.....tujhe hai pukaaaraaaaaa(Swades)

tairna hai ti samundar mein tairo,
in nadi naalon mein kya rakha hai,
pyaar karna hai to watan se karo,
in haseenaoon mein kya rakha hai..
;)

Happy Republic Day!!

Sakshi said...

My favourite is Lata singing -Aae mere watan ke logo.That song makes me cry each time I hear it.

Anonymous said...

this song also is my favorite song by can you upload or send full song to my email(goyal.vikas07@rediffmail.com